“Buht se dukh hamari qismat men likhy hoty hain. woh hamen milny hoty hain. ba'az sach'chaaiyan aisi hoti hain ky woh chahy hamen jitni bhi nagawaar lagen mgr hamen unhy qabool krna parhta hai. insan har waqt khud per taras khata rahy, apni zindagi men aany waly dukhon ky baary men sochta rahy to woh dukh us per haawi hojaty hain. phir uski zindagi men agar khushiyan aati bhi hain to woh unhen daikh nahi patha.”
“Muhabbat jin ky saath hoti hai, woh kabhi tanha nahi hoty. muhabbat unhen kabhi tanha hony nahi deti.”
“Duniya main Larkiyon sey ziadah koi ahmaq nahi hota.. khush fahmi ka aghaaz aur ikhtatam hum par hi hota hai. Sari umar hum mohabbat ki baysaakhiyoN ka intezaar karti rahti hain...Takay Zindagi ki race shuroo karsakain.. Humain mard kay baray main yeh khush fehmi hoti hai kah woh aaiga.. Koi hum sey hamdardi karay tou humain khush fehmi honay lagti hai ... Koi humari taareef karay tou woh humain apni mutthi main Qaid nazar aanay lagta hai... Koi humaray saath waqt guzarat tou humaray hosh o hawas apnay thikanay par nahi rahtay.. hum main MATURITY tab aati hai jab humain REJECT kia jaata hai.”
“Insaano ky, insaano ky saath baahemi tamaam jazbon ko jab Allah ny Roz-e-Awwal takhleeq kia to muhabbat hi woh waahid jazba tha jis ki taqdeer men jeet, jeet aur sirf jeet likhi gai...muhabbat ki qismat men haar nahi aur ye us Rubb ka faisla hai.”
“Salaar Sikandar nay pichlay aath saalon mai Imama Hashim kay liye her jazba mehsoos kiya tha. Hiqaarat,tazheek,pachtaawa,nafrat,mohabbat sab kuch......Magar aaj wahan bethay pehli baar ussay Imama Hashim say hasad horaha tha.Thi kiya woh......?Aik aurat.....Zara si aurat....Asmaan ki hoor nahi thi....Salaar Sikandar jesay aadmi kay saamnay kiya auqaat thi uss ki. Kiya mera jesa I.Q Level tha usska?Kiya meray jesi kamiyaabiyaan theen us ki?Kiya meray jesa kaam karsakti thi woh?Kiya meray jesa naam kama sakti thi?Kuch bhi nahi thi woh aur uss ko sab kuch plate mai rakh kar day diya aur main......Main jis ka I.Q Level 150+ hai mujhay saamnay ki cheezain dekhnay kay qaabil nahi rakha?Woh ab aankhon mai nami liye andheray mai wind screen say baahar dekhtay hue barbara raha tha."Mujhay bus iss qaabil kardiya kay main baahar nikloon aur duniya fatah kar loon.Woh duniya jis ki koi wuq'at hi nahi hai aur woh....woh...."Woh ruk gaya.Ussay Imama per ghussa araha tha.Aath saal pehlay ka waqt hota tu woh ussay "Bitch" kehta,tab Imama per ghussa anay per woh ussay yehi kaha karta tha magar aath saal kay baad aaj woh zabaan per uss kay liye gaali nahi la sakta tha.Woh Imama Hashim kay liye koi bura lafz nikalnay ki jurrat nahi kar sakta tha.Siraat-e-Mustaqeem per khud say bohat aagay khari uss aurat kay liye kaun zabaan say bura lag nikaal sakta tha?Apnay glasses utaar kar uss nay apni aankhain masleen.Uss kay andaaz mai shikast khoordagi thi."Pir-e-Kamil(S.A.W.W)......Siraat-e-Mustaqeem....Aath saal lagay thay,magar talash khatam hogayi thi.Jawab mil chuka tha.”
“Kisi ko apni zindagi k poshidah goshay dikha kar ye kehna k ' daikho men ne tm par aitabar kiya hai...meray aitabar ko totnay na daina' uske toheen aur tazleel karny k matradif hai...men samjhta hon k insan ya to kise par aitabar kary nahi...aur agr kary to phr pora aitabar kary...ye kch aitabar aur kch bay aitabari wali kefiat dono fareqon k lye takleef dah hoti hai.”