“Salaar Sikandar nay pichlay aath saalon mai Imama Hashim kay liye her jazba mehsoos kiya tha. Hiqaarat,tazheek,pachtaawa,nafrat,mohabbat sab kuch......Magar aaj wahan bethay pehli baar ussay Imama Hashim say hasad horaha tha.Thi kiya woh......?Aik aurat.....Zara si aurat....Asmaan ki hoor nahi thi....Salaar Sikandar jesay aadmi kay saamnay kiya auqaat thi uss ki. Kiya mera jesa I.Q Level tha usska?Kiya meray jesi kamiyaabiyaan theen us ki?Kiya meray jesa kaam karsakti thi woh?Kiya meray jesa naam kama sakti thi?Kuch bhi nahi thi woh aur uss ko sab kuch plate mai rakh kar day diya aur main......Main jis ka I.Q Level 150+ hai mujhay saamnay ki cheezain dekhnay kay qaabil nahi rakha?Woh ab aankhon mai nami liye andheray mai wind screen say baahar dekhtay hue barbara raha tha."Mujhay bus iss qaabil kardiya kay main baahar nikloon aur duniya fatah kar loon.Woh duniya jis ki koi wuq'at hi nahi hai aur woh....woh...."Woh ruk gaya.Ussay Imama per ghussa araha tha.Aath saal pehlay ka waqt hota tu woh ussay "Bitch" kehta,tab Imama per ghussa anay per woh ussay yehi kaha karta tha magar aath saal kay baad aaj woh zabaan per uss kay liye gaali nahi la sakta tha.Woh Imama Hashim kay liye koi bura lafz nikalnay ki jurrat nahi kar sakta tha.Siraat-e-Mustaqeem per khud say bohat aagay khari uss aurat kay liye kaun zabaan say bura lag nikaal sakta tha?Apnay glasses utaar kar uss nay apni aankhain masleen.Uss kay andaaz mai shikast khoordagi thi."Pir-e-Kamil(S.A.W.W)......Siraat-e-Mustaqeem....Aath saal lagay thay,magar talash khatam hogayi thi.Jawab mil chuka tha.”