“Kisi ko apni zindagi k poshidah goshay dikha kar ye kehna k ' daikho men ne tm par aitabar kiya hai...meray aitabar ko totnay na daina' uske toheen aur tazleel karny k matradif hai...men samjhta hon k insan ya to kise par aitabar kary nahi...aur agr kary to phr pora aitabar kary...ye kch aitabar aur kch bay aitabari wali kefiat dono fareqon k lye takleef dah hoti hai.”
“Allah ki mohabbat k siwa har mohabbat ko zawal hai. Phir wo asliyat dikha deta hai har rastay, har mohabbat ki. Aur phir wo sab kuch dikha kar aadmi say kehta hai ab bata tera mera siwa aur kaun hai?”
“Aqalmandi Ka Takaza Tou yehi Hai Kay Insan Khuda Kay Tasawar Ko Sha'ori Tor Par Thek Tarah Sayt Samajh Lay.Aisa Na Hoa Tou Koi Aur Sha'ay Khuda Ban Kar Apni Pooja Karwaney Lagay Gi”
“Insaano ky, insaano ky saath baahemi tamaam jazbon ko jab Allah ny Roz-e-Awwal takhleeq kia to muhabbat hi woh waahid jazba tha jis ki taqdeer men jeet, jeet aur sirf jeet likhi gai...muhabbat ki qismat men haar nahi aur ye us Rubb ka faisla hai.”
“Duniya main Larkiyon sey ziadah koi ahmaq nahi hota.. khush fahmi ka aghaaz aur ikhtatam hum par hi hota hai. Sari umar hum mohabbat ki baysaakhiyoN ka intezaar karti rahti hain...Takay Zindagi ki race shuroo karsakain.. Humain mard kay baray main yeh khush fehmi hoti hai kah woh aaiga.. Koi hum sey hamdardi karay tou humain khush fehmi honay lagti hai ... Koi humari taareef karay tou woh humain apni mutthi main Qaid nazar aanay lagta hai... Koi humaray saath waqt guzarat tou humaray hosh o hawas apnay thikanay par nahi rahtay.. hum main MATURITY tab aati hai jab humain REJECT kia jaata hai.”
“Kabhi Kuch To Kisi Ke Waaste Dil Se Dua Kar Lo, Yahi Insaaniyat Ka Farz Hai, Tum Bhi Ada Kar Lo, Koi Bhi Shakhs Duniya Mein Tumhein Chhota Nazar Na Aaye, Tum Apne Sochne Ka Daayra Itna Bada Kar Lo, Hamari Apni Fitrat Hai Wafa Karna, Wafa Kar Lo, Tumhari Apni Marzi Hai Wafa Karo, Ya Jafa Kar Lo, Ye Duniya Khubsoorat Hai Yaqeen Aa Jaayega Tumko, Kisi Se Dil Lagaane Ki Kabhi Koi Khata Kar Lo.”