“Kabhi Kuch To Kisi Ke Waaste Dil Se Dua Kar Lo, Yahi Insaaniyat Ka Farz Hai, Tum Bhi Ada Kar Lo, Koi Bhi Shakhs Duniya Mein Tumhein Chhota Nazar Na Aaye, Tum Apne Sochne Ka Daayra Itna Bada Kar Lo, Hamari Apni Fitrat Hai Wafa Karna, Wafa Kar Lo, Tumhari Apni Marzi Hai Wafa Karo, Ya Jafa Kar Lo, Ye Duniya Khubsoorat Hai Yaqeen Aa Jaayega Tumko, Kisi Se Dil Lagaane Ki Kabhi Koi Khata Kar Lo.”

Galib Shayari

Galib Shayari - “Kabhi Kuch To Kisi Ke Waaste Dil Se Dua...” 1

Similar quotes

“Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aaaa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa..Pahale se maraasim na sahii phir bhi kabhi tourasm-o-rahe duniya hi nibhane ke liye aa..Kis kis ko batayenge judaai ka sabab hamtu mujhse khafaa hai tou zamaane ke liye aa..kuch tou mere pindaar-e-mohabbat ka bharam rakhtu bhi to kabhi mujh ko manaane ke liye aa..ek umr se hoon lazzat-e-giriyaa se bhi maharuumaye raahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aa..ab tak dil-e-khushfeham ko tujh se hain ummidenye aakharii shammen bhi bujhaane ke liye aa ....”

Ahmed Faraz
Read more

“Aqalmandi Ka Takaza Tou yehi Hai Kay Insan Khuda Kay Tasawar Ko Sha'ori Tor Par Thek Tarah Sayt Samajh Lay.Aisa Na Hoa Tou Koi Aur Sha'ay Khuda Ban Kar Apni Pooja Karwaney Lagay Gi”

Ashfaq Ahmad
Read more

“faasla to hai magar koi faasla nahin, mujhse tum juda sahi dil se tum juda nahin.”

SHAMIM KARHANI
Read more

“TUM RUK KE NAHI MILTE, HUM JHUK KE NAHI MILTE, MAALUM YEH HOTA HAI, KUCH TUM BHI HO KUCH HUM BHI.”

SHAMIM KARHANI
Read more

“Gunaah ka bojh kiya hota hai aur aadmi apnay gunaah kay bojh ko kiss tarah qayaamat kay din apni pusht say utaar phainkna chahay ga kiss tarah uss say door bhaagna chahay ga kiss tarah doosray kay kandhay per daal dena chahay ga,yeh uss ki samajh mai Haram Shareef mai pohanch kar aya tha.Wahan kharay ho kar woh apnay paas mojood aur anay wali saari zindagi ki daulat kay aiwaz bhi kisi ko woh gunaah baichna chahta tu koi yeh tijarat na karta.Kaash aadmi kisi maal kay aiwaz apnay gunaah baich sakta.Kisi ujrat kay taur per doosron ki naikiyaan mangnay ka haq rakhta.Laakhon loagon kay iss hujoom mai 2 sufaid chaadarain orhay,kaun janta tha kay Salaar Sikandar kaun tha?Uss ka I.Q Level kiya tha.Kissay parwah thi?Uss kay paas kaun kaunsi aur kahan ki Degree thi.Kissay hosh tha?Uss nay zindagi kay Maidaan mai kitnay taleemi record toray aur banaye thay.Kissay khabar thi woh apnay zehan kay kaun say maidaan taskheer karnay wala tha.Kaun rashk karnay wala tha?Woh wahan uss hujoom mai thokar kha kar girta,Bhagdar mai ronda jata.Uss kay ooper say guzarnay wali khalqat mai say koi bhi yeh nahin sochta kay unhone kaisay dimaagh ko kho diya hai.Kiss I.Q Level kay nayaab aadmi ko kis tarah khatam kar diya tha.Ussay duniya mai apni auqaat,apni ahmiyat ka pata chal gaya tha.Agar kuch mughaalita reh bhi gaya tha tu ab khatam hogaya tha.Agar kuch shubah baaqi tha,tu ab door hogaya tha.Fakhar,takabbur,rashk,ana,khudpasandi,khud sataayishi kay her bachay hue tukray ko nichor kar uss nay andar say phaink diya tha.Woh in hi alaaishon ko door karwanay kay liye wahan aya tha.”

Umera Ahmed
Read more