“Gunaah ka bojh kiya hota hai aur aadmi apnay gunaah kay bojh ko kiss tarah qayaamat kay din apni pusht say utaar phainkna chahay ga kiss tarah uss say door bhaagna chahay ga kiss tarah doosray kay kandhay per daal dena chahay ga,yeh uss ki samajh mai Haram Shareef mai pohanch kar aya tha.Wahan kharay ho kar woh apnay paas mojood aur anay wali saari zindagi ki daulat kay aiwaz bhi kisi ko woh gunaah baichna chahta tu koi yeh tijarat na karta.Kaash aadmi kisi maal kay aiwaz apnay gunaah baich sakta.Kisi ujrat kay taur per doosron ki naikiyaan mangnay ka haq rakhta.Laakhon loagon kay iss hujoom mai 2 sufaid chaadarain orhay,kaun janta tha kay Salaar Sikandar kaun tha?Uss ka I.Q Level kiya tha.Kissay parwah thi?Uss kay paas kaun kaunsi aur kahan ki Degree thi.Kissay hosh tha?Uss nay zindagi kay Maidaan mai kitnay taleemi record toray aur banaye thay.Kissay khabar thi woh apnay zehan kay kaun say maidaan taskheer karnay wala tha.Kaun rashk karnay wala tha?Woh wahan uss hujoom mai thokar kha kar girta,Bhagdar mai ronda jata.Uss kay ooper say guzarnay wali khalqat mai say koi bhi yeh nahin sochta kay unhone kaisay dimaagh ko kho diya hai.Kiss I.Q Level kay nayaab aadmi ko kis tarah khatam kar diya tha.Ussay duniya mai apni auqaat,apni ahmiyat ka pata chal gaya tha.Agar kuch mughaalita reh bhi gaya tha tu ab khatam hogaya tha.Agar kuch shubah baaqi tha,tu ab door hogaya tha.Fakhar,takabbur,rashk,ana,khudpasandi,khud sataayishi kay her bachay hue tukray ko nichor kar uss nay andar say phaink diya tha.Woh in hi alaaishon ko door karwanay kay liye wahan aya tha.”